Buckles Up, aaya Front Seat wala rapper
Bach chote flow kill kare Backstabbers
Jo bhi aage barhe pau us ke roke
Ye duniya bhi kabhi ban na paati he kisi ka rehbar
Gin/Gin(Whiskey) rhymes chote Reference Gin/Gin(Whiskey) Mere
Sath shuru kiye Rap jo ab karte bin mere
Kise diye Rhymes kise sikhaya Rap
Mein Bana Ali Baba Rakhe 40 Jin Mene
Saada sa banda hu kabhi bhaiyo se na lara mein
Us mein se jale kaafi jab jab tha aage barha mein
Mеin apne peron par hu khara is yaqeen se
Kе misaalein banta rahuga jab tak hu zameen pe
Rabba mere tu hi bas rahi gawaah mera
Mein gunehgaar phir bhi karta rehta zikar tera
Ye duniya aarzi he milti jab mil jaata sab
Warna na mein kisi ka or kon kabhi raha mera
(Chorus)
Mene ye zindagi ye soch ke guzaar di
Ke kisne sath dia, or kisne mujhe maat di
Mene ye zindagi ye soch ke guzaar di
Ke kon raha mera or kon raha Aarzi. (x2)
Kher, Zindagi to khatam hone wali he
Bana mein Bohemian pura Rap city/Rhapsody Jaali he
Jawani zaya ho gayi yaha Pardes mein
Bahar se dikhta khush andar se to Amish Khaali He
Larki tu mujhe chor or bhi Kaam mere
Haan tere shehr (Pindi )mein charche hote rehte aam mera
Haan mera naam rehta tha sab ki zubanon pe
Par mu ni ab lagata jese Satti hen Diwano (Song by Bohemia) Se
Mein wahi larka hu jo sab ke piche khara tha
Par ab mein kya bolu kis kis ke piche lara tha
Ye baate kehni ni samajhne wala samjhe ga
Jisne bhi kabhi life mein khushiyon se zyada gham dekha
Rabba mein banda tera phir bhi rehta dur tujhse
Par ab mein kya karu mein ho jata majbur khudse
Izat tu deta rozi bhi to tere zime he
Ab dhundu kaha tujhe to tu rehta mere dil mein he
Chorus
Mene ye zindagi ye soch ke guzaar di
Ke kisne sath dia, or kisne mujhe maat di
Mene ye zindagi ye soch ke guzaar di
Ke kon raha mera or kon raha Aarzi. (x2)
Salaam he unko jo abhi bhi mujhe sunte hein
Inaam ne pucha tere views kyu ni barhte hein
Par mein hu karta apne lie hi ye rap saara
Likhu mein sach or sach ko koi samajh ni paa raha
Mein wo larka hu jo bachpan mein shayari karta tha
Alfaaz the adhure phir bhi kaaghaz pura bharta tha
Kon samjha mujhe kon na samajh tha
Ye rhymes or rap mere khoon mein tha Busta (Rhymes)
Mera kal mere aaj se beghaana he
Mitti se hu mein or mene mitti mein mil jaana he
Jawani zaya hogayi he meri hustle karte
Mehnat kiye bina hi ye bache saare Afzal bante
Chal chor Satti chaar de game nu
Ganja bola mujhe laga reh chor de Fame nu
Par ye baatein meri baatein hi reh Jaani hein
Dhol na rahega Rani Taj Hi reh jani he
Chorus
Mene ye zindagi ye soch ke guzaar di
Ke kisne sath dia, or kisne mujhe maat di
Mene ye zindagi ye soch ke guzaar di
Ke kon raha mera or kon raha Aarzi. (x2)