[Intro: Avanipriya Soni]
Oh (Aa)
Oh (Aa)
[Verse 1: GAUSH]
Raat bhar yaado mein teri
Aur rakhi thi jaan ko naajuk hatheli mein
Tujhe basa lu mai saanso mein meri
Sirf nikle jubaan se jo baate woh gehri
Salaakho mein kaidi, ab milta ni chain
Dooriyaan ab mujhse hoti ni sehen
Gham teri yaado mein, nam mere nain
Waada hamesha ka tha lekin khair
Saza de di zindagi bhar ki (Zindagi bhar ki)
Maana kisi ki naa galti (Kisi ki naa galti)
Tu naa rahi mere saath jo (Rahi mere saath jo)
Shayad ussi ki thi marzi (Ussi ki thi marzi)
Bas chaahat thi, rakhna sirf apna bana ke
Mai bachpan se baitha tha sapna saja ke
Ab tere bina mann ni lagta yahaan pe
Rahu naa rahu mai, yaad rakhna humare
[Chorus: GAUSH]
Beete lamhe (Beete lamhe)
Beete lamhe (Beete lamhe)
Milta ni chain, milta ni chain, milta ni chain
Aati hai yaad woh
Beete lamhе (Beete lamhe)
Beete lamhе (Beete lamhe)
Milta ni chain, milta ni chain, milta ni chain
Aati hai yaad woh
[Verse 2: GAUSH]
Woh kehti thi, "Le jana ghar mujhe"
Woh kehti, "Nahi rehta sabar mujhe"
Woh kehti thi, "Dena har pal mujhe"
Woh kehti, "Andekha naa kar mujhe"
Aur ab jo rahi naa toh milta sukoon nahi
Aur ab jo rahi naa toh dikhta guroor nahi
Mai khud ke khilaaf, meri jung hai androoni
Kyu bana mai khud apne khwaabo ka khooni?
Ab shayad milenge ab hum dono mar ke
Ya agle janam mein yun rooh meri tadpe
Woh chhod gayi dard mein bas yaad aaye lamhe
Dua hai khuda tujhe lambi umar de
Ab sarr pe hai karze, ye kaafi hai bojh
Tujhse bichhad ke saza di hai maut
Ab bhi wafa mujh mein baaki hai bohot
Par milta ni chain, sataati hai roz woh
[Chorus: GAUSH]
Beete lamhe (Beete lamhe)
Beete lamhe (Beete lamhe)
Milta ni chain, milta ni chain, milta ni chain
Aati hai yaad woh
Beete lamhe (Beete lamhe)
Beete lamhe (Beete lamhe)
Milta ni chain, milta ni chain, milta ni chain
Aati hai yaad woh
[Outro: Avanipriya Soni]
Ho, ho
Ho
Ha-ha, unh