O be-khabar tujh ko kya fikar
Kaisa ho gaya hai ye mujhpe jo asar
Main luṭi haan luṭi main saari bas tere liye
Sun sitam-gar kuchh to rahm kar
Mar jaaoongi main na tu mila agar
Sohne sapnon ki dunya sajaayi maine tere liye
Yoon na sata, dil na jala
Tere ishq mein hoon main mubtala
Deedaar kara de
Ek baar phir mujhe pyaar de
Kaaṭe na kaṭe re ratiya saiyaan intizaar mein
Kaaṭe na kaṭe re ratiya saiyaan intizaar mein
Haaye-haaye main to mar gayi be-dardi tere pyaar mein
Oye-hoye main to mar gayi be-dardi tere pyaar mein
Kaaṭe na kaṭe re ratiya
Hoon be-sabar mujhko hai ye ḍar
Bhool jaana na mujhe sun o dilbar
Har sukoon, har khushi luṭaayi main ne tere liye
Din rain tere sapnon mein rahoon
Tu aaye na jaaye main kaa se kahoon
Din rain tere sapnon mein rahoon
Tu aaye, na jaaye
Kaahe sataaya tu ne
Sapna dikhaaya tu ne
Sapna dikhaaya
Yoon na sata, dil na jala
Tere ishq mein hoon main mubtala
Deedaar kara de
Ek baar phir mujhe pyaar de
Kaaṭe na, Kaaṭe na
Kaaṭe na kaṭe re ratiya saiyaan intizaar mein
Kaaṭe na kaṭe re ratiya saiyaan intizaar mein
Haaye-haaye main to mar gayi be-dardi tere pyaar mein
Oye-hoye main to mar gayi be-dardi tere pyaar mein
Main to mar gayi bedardi tere pyaar mein
Tere pyaar mein
Tere pyaar mein
Tere pyaar mein
Tere pyaar mein
Yoon na sata, dil na jala
Tere ishq mein hoon main mubtala
Deedaar kara de
Ek baar phir mujhe pyaar de
Tere pyaar mein
Tere pyaar mein
Tere pyaar mein