Hum aisi soch sochay gay
Jissay yeh duniya dekhay gi
Tou phir himaqat ho gayee
Par yeh bhi bhi tou jhoot hai na yaar
Aur hum bhi tou hogaye tyaar
Mujh ko durr na chhoro mein raastay bhool chuka hoon
Jaisay dikh rahay ho tum mein waisay ban gaya hoon
Mujh ko chhor do keh mein yaha pay tak raha hoon
Chhor do yeh jhanjhatain
Aur chhor do yeh jhanjhatain
Mujh ko ab dar hai lag raha
Keh hoga kal hamara kya
Mera ghar mera na raha
Par yeh bhi tou jhoot hai na yaar
Aur hum bhi tou hogaye tyaar
Mujh ko durr na chhoro mein raastay bhool chuka hoon
Jaisay dikh rahay ho tum mein waisay ban gaya hoon
Mujh ko chhor do keh mein yaha pay tak raha hoon
Chhor do yeh jhanjhatain
Aur chhor do yeh jhanjhatain
Meri bhi tou sunlo meri bhi tou eik awaaz hai
Duniya badalnay ja raha hoon
Badalnay ja raha hoon
Ma nay bola keh mera maqsad yeh hai keh aur logo
Kay kaam aao aur logo
Kay kaam aao aur logo
Mein bhi tou hilm seekhoon ga
Aur meray ghussay ko sambhalo ga keh hai yeh meri
Yeh meri zimmadari
Amma nay bola keh mera maqsad yeh hai keh aur logo
Kay kaam aao aur logo
Badalnay ja raha hoon
Yeh meri zimmadari
Jo bhi hoga honay doon ga