[Chorus]
Pal-pal jeena muhaal mera tere bina
Yeh saaray nashay bekaar teri aankhon ke siwa
Ghar nahi jaata, mein bahar
Rehta tera intezaar
Mere khuwabon may aa naa kar ke solah singhaar
[Verse]
Mein ab kyun hosh may aata nahi?
Sukoon yeh dil kyun paata nahi?
Kyun torrun khud se jo thay waaday
Ke ab yeh ishq nibhaana nahi?
Mein morrun tum se jo yeh chehra
Dobara nazar milana nahi
Yeh duniya jaanay mera dard
Tujhe yeh nazar kyun aata nahi?
Sohneya, yoon tera sharmana meri jaan naa lele
Kaan ke peeche zulf chhupana, meri Jaan, kya kehne
Zaalima, tauba tera nakhra, iss ke waar, kya kehne
Thaam ke bеthe dil ko ghaayal, kahin haar naa bethein
Tеri nazrein mujh se kya kehti hain?
Inn may wafa behti hai
Thori-thori si raazi, thori si khafa rehti hain
Loug hain zaalim baray, inn may jafaa dekhi hai
Yeh duniya teri nahi, mein ne tujh may hayaa dekhi hai
[Chorus]
Jeena muhaal mera tere bina
Yeh saaray nashay bekaar teri aankhon ke siwa
Ghar nahi jaata, mein bahar
Rehta tera intezaar
Mere khuwabon may aa naa kar ke solah singhaar
[Instrumental Outro]