Escucha música Sunny Khan Durrani Koi Gila Nahi Romanized de Genius Romanizations 2025 en línea | Musica Lyrics

Bienvenidos a Fox.MusicaDe.Win Escuche y comparte musica de Musica Sunny Khan Durrani Koi Gila Nahi Romanized - Genius Romanizations » Lyrics OnLine con los amigos, Musica Gratis 2025! Fox.MusicaDe.Win!.

Escucha Sunny Khan Durrani Koi Gila Nahi Romanized » Genius Romanizations | Lyrics online.

Musica de Genius Romanizations del Genero: Lyrics Todos los artistas y cantantes de música de Lyrics son individuos talentosos y apasionados que dedican su vida a crear y compartir su arte con el mundo. Su música de Genius Romanizations tiene el poder de emocionarnos, inspirarnos y conectarnos a un nivel profundo. En este blog FoxMusicaDe, exploraremos el mundo de los artistas y cantantes de música del genero Lyrics, destacando su dedicación, creatividad y contribuciones a la cultura.

Los artistas y cantantes de música tienen la capacidad única de expresar sus emociones y experiencias a través de su voz y talento musical. A través de sus letras y melodías, nos llevan a un viaje emocional y nos permiten conectarnos con nuestras propias emociones.

Además de su talento musical, los artistas y cantantes son verdaderos profesionales en su campo. Trabajan arduamente para perfeccionar su

  • Sunny Khan Durrani Koi Gila Nahi Romanized - Genius Romanizations 4:42

Genius Romanizations - Sunny Khan Durrani Koi Gila Nahi Romanized Lyrics


[Intro]
"Aise to phir aise hi sahi, wese bhi, kya farq padta hai?"

[Verse 1]
Baitha chup sunu, sab ki kahaaniya
Baitha door to taweel mera zawiya
G-osukoon mile ab bhi khamoshiyo me
Bhaagu door mai toh ab bhi sargoshion se
Dosto me sahi the jo ab dhokhe de rahe
Aur jaane dete ham jaisa ham andhe-behre
Ab jab naya banda mile dekhu price tag mod ke
Kyunke ho gaye bikaau sab insaan is daur ke
Apni apni qeemat sab ke apne apne mol
Ye to bech dete dosti, faido ke tol me
Bike huve bando se banda kya kare gila?
Inka rab hi dega inke kiye ka sila
Tum pehle nahi, jo ke bike bhed chaal me
Tum pehle nahi, jo munaafiq apni khaal me

[Chorus]
Par jaane do, kyu mai zaaya karu siyaahi?
Kyu na bech ke qalam mai bhi karlu kamai?

[Verse 2]
Zameer pareshan aas-paas ke halaat se
Zamana saara khelna chahe mere jazbaat se
Mai raat se hu baitha dekhu ronaqain ye door se
Mai chahta hu faasla, dimaag ke fatoor se
Chahta hu faasla, duniya ke shor se
Mai chahta hu waqf is duniya ki dor se
Shor se mai tang, kaha dhundu sukoon mai?
Kapdo se dhoya jaane kitno ka khoon maine
Apne dafnaaye, kitne ghair uthe kaandho pe?
Ab bhi vo ghair soche ke vo mujhe jaante
Mere manager ne call ki koi baat thi batani
Aur mai khud me hi ghum, kehta jaane de na aaj nahi
In logo pe mai zaaya karu bacha itna waqt nahi
Naslo ka soch raha, me insa kambakht nahi
Mai naslo ka soch raha aur inhe padi diss ki
Zaaya karu inpe, mere paas itna waqt nahi
[Bridge]
Mujhe kisi se bhi gila nahi
Mai to khud se bhi mila nahi
Jaane de, tu kis dosti ki baat kare?
Yaha har ek qadam par, zehreele saamp pade

[Verse 3]
Bole unke soye huve zameer mai jagaata
Kitne brands yaha roz apne haath se bhagaata
Nahi chahiye vo paisa jo ke zameer maare
Is bimaari me lut gaye, kitne saath wale?
Ye puche mujhse kyun mere fans itne kam?
Izzat ki sukhi roti zillat ke halwe se behtar
Aur jo dil pe na lage, vo kaisa tera qalam?
Aur jo dil se nikla, vo kaisa tera bharam?
Yaha zindagi me saari apni de baitha rap ko
Das saal seekha maine, baara saal likha
Gyaara saal se mai tumko suna raha dil ki baatein
Lafzo ke zariye kitne rooh me meri jaankhein?
Muaashre ko chehra dikhata unka roz mai
Aur apne hi aqs ko besharmi se koste
Jaisa ke maine likh di koi mann ghadat kahani
Jaisa aas-paas kya hora inhe zara bhi pata nahi
Phir aake mujhe kehte mujhe fame ki pyaas
Vo hi ghisi piti baatein aur puraani bakwaas
Mujhe sunta Nescafe, mujhe jaanta Coke Studio
Par unhe bhi to chahiye koi banda jiski fame ho
[Chorus]
Par jaane do, kyu mai zaaya karu siyaahi?
Kyu na bech ke qalam mai bhi karlu kamai?

[Verse 4]
Mujhe shauq nai ki kharidu mehengi gaadi
Meri cycle dikhati duniya vo hi mujhe kaafi
Mujhe ho gaye mahine, mai to baitha hua ghar pe
Job chhod chuka, zimmedari mere sar pe
Paiso se zyada zaruri likhai
Mujhe acche lafz ab lagte kamai
Meri rooh la-zawaal, jism kuch pal ka
Aaj tak nahi khareeda waada koi kal ka
Aaj mai hi chalu, mai aaj me hi zinda
Dil se tum waaqif, mai note nahi ginta
Agar kisi bande se ho jaaye taalluqata
To mai in kam zarfo sa ehsaan nai jataata
Sakhaawat mere khoon me, karam uske jaari
Tabhi jaane kitne logo ki le baitha zimmedari
Ye likhaari, kalakaar, aur bazaariyo ki jung hai
Hunarmand azal se anaadiyo se tang hai
Bana li khud hi 3 albums funkaar ye haath
Mai azaadi ki misaal na kisi pe inhesaar
Matlab ke chahiye na producero ki toli
Na hi views ke liye lagaata me rooh ki apni boli
Ye to ek ek karke, bik rahe hai saare
Maine jala di hai kashtiya, nahi chahiye kinaare
Bhaago
[Outro]
Mujhe kisi se bhi gila nahi
Mai to khud se bhi mila nahi
Jaane de, tu kis dosti ki baat kare?
Yaha har ek qadam par, zehreele saanp pade

Sunny Khan Durrani Koi Gila Nahi Romanized » Genius Romanizations Letras !!!

Lyrics de: Genius Romanizations

Esta web no aloja ningun archivo mp3©Fox.MusicaDe.Win 2025 Colombia - Chile - Argentina - Mexico. All Rights Reserved.

Musica Online, Escuchar musica online , Musica En Linea, Musica en linea gratis, Escuchar Musica Gratis, Musica Online 2025, Escuchar Musica

Musica 2025, Musica 2025 Online, Escuchar Musica Gratis 2025, Musica 2025 Gratis, Escuchas, Musica de Moda.