Video de: Sunny Khan Durrani Kalakaar Aur Dunya Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics Fox.MusicaDe.Win

Bienvenidos a Fox.MusicaDe.Win Disfruta del Video de: Sunny Khan Durrani Kalakaar Aur Dunya Romanized 2025 Genius Romanizations » Lyrics y comparte musicas con los amigos, Musica Gratis 2025! Fox.MusicaDe.Win!.

Video de: Sunny Khan Durrani Kalakaar Aur Dunya Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics

Genius Romanizations - Sunny Khan Durrani Kalakaar Aur Dunya Romanized Lyrics


[Verse]
Aise lage jaise kal hi ki baat hai
Aaj bhi dimaag me jaane kitne sawalaat hai
Ek ladka tha, mere aur tumhare jaisa
Duniya daud aur vo bhaagta zamaane jaisa
Jaane mujhse use kis baat ki chid thi
Mujhse bila vajah nafrat karne wale tum pehle shaqs nai
Har subah hote stage pe ham school ke
Kuch waaqiyaat aapko kabhi bhi nai bhoolte
Khair, vo tha qirratkhwaan aur mai padhta naat tha
Har subah saath par ham kabhi karte baat na
Aise hi din aur maheenay guzar gaye
Ham jaise us stage pe jagah pakki kar gaye
Kaafi ladko ko thi hamse nafrat
Kamzarfo ko aksar deti taaqat ye qudrat
Kamzor tha mai, kad mera chota tha
Duniya ke chup ke mai har raat rota tha
Na karni ladai na hi lena-dena jung se
Ye ladke ko wehshi banaya tum sab nе
Dhundla sa yaad jab mila tha award
Best debate aur mai wapas, mud kе aaya class me
Aadhe ladke ghure kar rahe bakwaas vo
Utha bola dede mujhe apna award
"Tujhse zyada mai deserving"
"Tujhse zyada hu mai smart"
Toh, kis cheez ki phir tujhe logo se wah-wahi mile?
Haath galle pe, daboche meri gardan vo
Dekhte hi dekhte ek duje se ham lad pade
Sab tamashbeen, unme koi bhi na badhta aage
Nafrat wale tab bhi the
Maine tab bhi kaafi dushman taange
Ghooma sar mera phir, maarne ko chad pada
Pehli baar jab kisi par mera haath utha
Office principal ka, khade ham dono bahar
Pucha mene us se "Kyu tu mujhse khaata khaar?"
Bola banna naatkhwaan tha
Tumhe dedi meri jagah
Bas us din ke baad se mai nafrat me mubtala
"Mai bhi likhari, mai bhi behtar hu" bola vo mujhse
Ham jaise parinde aksar noch khaate jhund ke kawwe
Agle din se phir ham ek duje se na baat kare
Aise hi karte karte kuch aur mahine guzre
Final exams, yaad vo result ka din tha
Hogaya vo fail baitha hua tha vo tanha sehma
Kehta "Ghar nai jaana, baap le lega jaan meri"
Maine kaha "Himmat rakh, kuch nai hota maan meri"
School na aaya phir wo kuch din
Kisi ko bhi uske baare kuch bhi pata nai
Lauta kuch din baad school ko
Khada tha khamosh usne kuch bhi kaha nai
Uski shakal soojhi hui, aur chehre pe daag
Uske vajah se hogyi uske maa-baap ki talaq
Usne school ki chatthi manzil se kood ke apni jaan leli
Bedard zameen ek aur kalaakaar khaa gayi
Khoon uske phaila chaaro or
Likhari ko khaa gayi duniya ki daud
Kaun zimmedaar?
Ye school ya ye system?
Maaroge kalakaar, berehmi se kab tak?
Us din is na cheez ne yahi sabaq seekha
Ke kalakaar ko kabhi bhi na milni ye duniya

Sunny Khan Durrani Kalakaar Aur Dunya Romanized » Genius Romanizations Letras !!!

Videos de Genius Romanizations