[Verse 1]
Yeh galiyon ke awara bekaar kutte
Yeh galiyon ke awara bekaar kutte
Ke bakhsha gaya jin ko zauq-e-gadai
Zamane ki phitkaar sarmaya unn ka
Zamane ki phitkaar sarmaya unn ka
Jahaan bhar ki dhutkaar unn ki kamaai
Galiyon ke awara bekaar kutte
[Verse 2]
Jo bigrren toh ik dusre se larra do
Jo bigrren toh ik dusre se larra do
Zara eik roti ka tukrra dikha do
Zara eik roti ka tukrra dikha do
Yeh har eik ki thokaren khane waale
Yeh har eik ki thokaren khane waale
Yeh faqon se ukta ke mar jaane waale
Galiyon ke awara bekaar kutte
[Verse 3]
Kiya tu ne sehra nasheenon ko yakta
Kiya tu ne sehra nasheenon ko yakta
Khabar mein, nazar mein, azaan-e-sahar mein
Talab jis ki sadiyon se thi zindagi ko
Woh soz uss ne paya inhi ke jigar mein
[Instrumental-Break]
[Verse 4]
Yeh mazloom makhlooq gar sar uthaye
Toh insaan sab sarkash bhool jaaye
Yeh chahen toh duniya ko apna bana lein
Yeh aaqaon ki haddiyan tak chaba lein
Koi inn ko ehsaas-e-zillat dila de
Koi inn ki soi hui dum hila de
[Outro]
Aah, aah, aah, aah, aah