[Verse 1: Jaffer Zaidi]
Huye faasle, jhooṭe silsile
Toote huye dil jaaen kahaan?
Mujhe jo khushi mili na kabhi
Jaaye tere sang, jaaye tu jahaan
Meri yeh dua hai ke tera jeewan yoon hi chalta rahe
Saari khwahishen hon puri
Teri dunya mein na ho yeh kami
Na ho yeh kami
[Verse 2: Quratulain Balouch]
Yaad hai mujhe teri har adaa
Muskurahaten teri
Tera mujh se chupke se yoon kahna ke tu hai meri
Jaane yeh kya ho gaya, ho gaye juda
Tere waaste sab hi raaste
Chhor ke mein aayi yahaan
Tu to na mila yoon hi chal diya
Le ke mera dil jaane tu kahaan
[Verse 3: Jaffer Zaidi]
Jaaon ga kahaan?
Mein to hoon yahaan
Tere dil ki aahaṭon mein hoon
Sapnon mein tu, sochon mein tu
Har lamhe mein tu
Dhaṛke yeh dil tere hi liye
Hoga kisi ka na ab yeh
[Outro: Jaffer Zaidi, Quratulain Balouch]
Ja raha hoon mein
Ja rahi hoon mein
Ja raha hoon mein
Ja rahi hoon mein