[Chorus]
Main maanta hoon main nashe mein hoon (Nashe mein hoon), par bin piye main kaise ye kahoon (Kaise ye kahoon) ke kitna tumse pyaar hai
Main maanta hoon main nashe mein hoon, par bin piye main kaise ye kahoon (Kaise ye kahoon) ke jaana padega shayad mujhe tumse door (Tumse door)
[Verse]
Jab pehli baari hum mil rahe the
Phool bagichon ke ye kaise khil gaye the
Wo aankhein churaana, wo tera sharmaana, yaad hai mujhe
Tu zindagi bani thi zindagi mein
Jo zindagi mili to zindagi ko di hai
Tujhe hi to chaha, tujhe hi to manga tha maine
Ab ja raha hoon main jo tumse door
Tum acche ho, main bura hoon itna kyun?
Chaho kabhi thoda mujhe tum kabhi
Ab jaate jaatе vaada karte jaana ke bhool jaoge, na gaogе ye gaana
Na aansu bahana, sada muskurana hai tumhein
Main kaafi zyada door ja raha hoon
Tum kho jaoge itna dhoondh bhi na paaoon
To peeche na aana kisi bhi bahaane se mere
[Bridge]
To aaj bata doon o yaar main tumko ke aaj bhi karta hoon pyaar main tumse to aao gale to milo aur jaane bhi do
[Outro]
Main maanta hoon main nashe mein hoon, par bin piye main kaise ye kahoon ke kitna tumse pyaar hai
Ke kitna tumse pyaar hai
Goodbye