Video de: Raftaar Y Nawazuddin Siddiqui Mantoiyat Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics Fox.MusicaDe.Win

Bienvenidos a Fox.MusicaDe.Win Disfruta del Video de: Raftaar Y Nawazuddin Siddiqui Mantoiyat Romanized 2025 Genius Romanizations » Lyrics y comparte musicas con los amigos, Musica Gratis 2025! Fox.MusicaDe.Win!.

Video de: Raftaar Y Nawazuddin Siddiqui Mantoiyat Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics

Genius Romanizations - Raftaar Y Nawazuddin Siddiqui Mantoiyat Romanized Lyrics


[Intro: Nawazuddin Siddiqui]
Raftaar
Sawaal yeh hai ki Jo cheez jaisi hai
Use waise hi pesh kyu na kiya jaaye
Main toh bas apni kahaniyon ko ek aaina samjhta huin
Jismein samaaj apne aap ko dekh ske, dekh ske

[Verse 1: Raftaar]
Haan, aaina na dekhna chahe samaaj mera
Haan, puche mera kal, na dekhte yeh aaj mera
Khodte-kharondte yeh meri galtiyaan
Main bhi chal diya, meri soch pe hai raaj mera
Kaan band, aankhe band, inke muh pe taale
Inmei zor na ki satya pe prakash daale
Bole sach jo uske chehre pe tezaab daale
Ghoomе phir khule mei aur jale jo woh nakaab daalе
Off, off, off hai, dimaag sabka off hai
"Zamaana kya kahega", iska hi toh sabko khauf hai
Dabke jeete hain, dabaane ke yeh aadi hain
Sex nished hai toh itni kyu aabadi hai?
Log yeh hai aatma se khokhle
Khud kre toh theek, baaki galat..., dhogle!
Gaali de duin Hindi mei toh bole aisa kyu kiya
Fuck kyu hai cool, jaane galat kyu hai chutiya

[Pre-Hook: Nawazuddin Siddiqui]
Kya iss tarah ke alfaaz humei sadkon pe sunayi nahi padte?
[Hook: Nawazuddin Siddiqui]
Manto ek insaan hai
Manto ek insaan hai
Manto ek insaan hai
Manto ek insaan hai
Mujhpar ilzaam hai
Mujhpar ilzaam hai
Mujhpar ilzaam hai
Manto ek insaan hai

[Verse 2: Raftaar]
Jaat mei yeh baant te hain, baant ke yeh kaat te hai
Katne waale khaat pe hain, inki mauj raat mei hain
Laal batti waali gaadi, glass inke haath mei hai
Raajneeti mei hain chor, police inke saath mei

Meri baatein tumko sach nahi lagti
Sachi baatein tumko yaara pach nahi skti
Mujhse naasamjh hain dugni meri age ke
Ek pair kabr mei, yeh bhookhe hain dahej ke

Betiyon ko maarte, betiyan na paalte
Betiyon pe dusron ki nazrein gandi daalte
Ladkiyan patake unko bandi bolte hain
Aur jo raazi na ho unko saale randi bolte hain
Baap roz maa pe thos haath jo uthayega
Bezubaan bolne se pehle seekh jayega
Ki mard tab banega jab tu auratein dabayega
Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jaayega

[Pre-Hook: Nawazuddin Siddiqui]
Main us society ki choli kya utaruunga jo pehle se hi nangi hai
Use kapde pehnana mera kaam nahi hai
Main kaali takhti par safed chalk istemaal krta huin
Taaki kaali takhti aur numaya ho jaye

[Hook: Nawazuddin Siddiqui]
Manto ek insaan—

[Bridge: Raftaar]
Maine ghanto padha hai tumko Manto
Tumhare jaisa banuin kare mera man toh
In bando ko sach nahi dikhta
Sattar saal aazadi ke, sach aaj bhi nahi bikta

[Outro: Nawazuddin Siddiqui]
Agar aap meri kahaniyon ko bardasht nahi kr skte
Toh iska matlab yeh hai
Ki yeh zamaana hi naakabil-e-bardasht hai

Raftaar Y Nawazuddin Siddiqui Mantoiyat Romanized » Genius Romanizations Letras !!!

Videos de Genius Romanizations