[Verse 1]
Chahe mujhe kabhi pyaar na ho
Mera koi yaha khaas na ho
Per jispe karu main yakeen
Voh chehra kabhi bhi naqaab na ho
Mera chahe bada naam na ho
Mehfil me pehchaan na ho
Bas itna hi mangu khuda
"Mehnat jo karu voh khraab na ho"
Tumhe toh dikhe har baar bas haar meri
Girr ke utha main kaise tumko ye dikhta nai
Kaam ko mere sacche logo se tareef mile
Deke main paise kabhi views ko khareedta nai
Mujhe sikhaya na karo kaise banane ghaane
Likhu main dukh ya main sukh alfaaz mere
Jinhe samajhna voh samjhe ehsaas mere
Sunne waale toh mujhe sab dhokebaaz milе
Sath nai dena toh phir karte fikar kyu
Dekе udaari mere kaat te ho par kyu
Desi main banda na samajh aaye trend naya
Baat hai dil ki toh maangte jism kyu?
Bolu main sach toh samajhte ghamand kyu?
Sehlunga sab tumhe laga ye bharam kyu?
Haan main shayar hu, hu par Haryana ka
Bin baat ke macha rahe bhasad kyu?
[Chorus]
Koi mujhsa deewana nahi, mai karta dikhava nahi
Main shayar hu likhta jo baate, zamana batata nahi
Koi mujhsa deewana nahi, mai karta dikhava nahi
Main shayar hu likhta jo baate, zamana batata nahi
[Verse 2]
Maine na socha the ki aisa anjaam hoga
Meri likhai ko dil waalo ka salaam hoga
Mera geet jo bhi sunta repeat pe
Vo mera apna nai koi anjaan hoga
Bada tarsa main dekhne ko din naya
Ankhein thi nam meri zakhmo se dil bhara
Aur aake bolte ye nakli se launde mujhe
Jo baje gaadiyon me aisa koi geet bana
Tumhe hi shauk hoga dikhawo me jeene ka
Meri kalam me toh sach ki siyaahi hai
Tere baap ne dilai hogi gaadi tujhe
Mere baap ne mujhe mehnat sikhai hai
Hone ko tees ke ye phir bhi akal nahi
Saari jawaani jhak maar ke bitai hai
Maine toh sach kaha khol diye raaz sabhi
Baato me meri ab dhundte burai hai