Video de: Panther Priyanka Meher Y Nikhil Swapnil Parinda Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics Fox.MusicaDe.Win

Bienvenidos a Fox.MusicaDe.Win Disfruta del Video de: Panther Priyanka Meher Y Nikhil Swapnil Parinda Romanized 2025 Genius Romanizations » Lyrics y comparte musicas con los amigos, Musica Gratis 2025! Fox.MusicaDe.Win!.

Video de: Panther Priyanka Meher Y Nikhil Swapnil Parinda Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics

Genius Romanizations - Panther Priyanka Meher Y Nikhil Swapnil Parinda Romanized Lyrics


[Chorus: Priyanka Meher]
Ghumta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Ghumta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha

[Verse 1: Panther]
Keh dena duniya se, main duniya ke na kabil
Hai tezi duniya mein, mera dil haule chalta hai kaafi
Yahan talwarein haathon mein aur apne haathon mein hai syahi
Inko haye ki aadat, hamein aadat-e-wah-wahi
Jhooth chehre pe bolun to phir main khaas kaise hua?
Sach bola na to phir tere dil ke paas kaise hua?
Ummeedon pe khara nahi to teri aas kaise hua?
Ye insaaniyat hai jalati, ye koi ghaas ka nahi dhuan
We are dying, ya phir zinda hai koi?
Pehle lagta tha mujhe bhi karam likhta hai koi
Main galat hota hoon par mujhe galat dikhta aur koi
Jo pehlu badle har mauke pe, chalta sikka hai wo hi
Ye bhookh khane pe aur zyada badhti ja rahi hai
Jalti insaniyat to phir dharti tapati ja rahi hai
Logon ke dil huе thande, ya phir sardi chha gayi hai?
Banana hai ghar to pahuncha hoon main ghar bhi na sahi kyun ki—

[Bridge: Priyanka Meher]
Gharaunda bacha na, ujad gayi daali-daali
Aasmaan hai veerana, jahan hai khali-khali
Udoon main kahan ko? Pata na hai manzil ka
Pooche koi naam tera to mainе hai "Rab" likha
[Verse 2: Panther]
Uda kaga, uda aasman mein
Ghar se door jaaye, gharwalon ki baat maan ke
Shuru raasta hua to dil hai haar maan le
Par chalna iklauta raasta, jeevan raag saamne
Nayi jagah, nayi hawa, naye badal, nayi wajah
Dheere-dheere lagne lagi apne ghonsle ki tarah
Door ghar se, naya makaan, itna hosh hi hai kahan?
Par ye makaan to phir aksar ghar pe lautne ki tadap
Parinde ka ghute dam
Parinde ko mile "tum", mil ke bole na koi "hum"
Parinda hai bheed mein par sunsaan lage sab
Parinde ko maa ki yaad aaye par bole na, use aati hai sharam
Parinda hai pareshaan, use ghonsla na mile
Ghar ki bhare wo udaan par koi hausla na mile
Aasmaan ude wo to, use josh kahan mile?
Dosh dene wali duniya mein yahan dost kahan mile? Bata
Mara-maari machi daane-daane ki
Yahan hod machi neeche gira ke, bas aage jaane ki
Dekhne waali duniya nahi, dikhane wale ki
Roti kamani nahi, cheenni hai khane wale ki
Mile sab ko yahan jagah kaafi phir pade kaafi na ye jagah, sabko rooth ke ye gila
Insaano mein bhi kaafi maine dhoonde hain insaan par ek bhi na mujhe kahin dhoondhne pe mila

[Bridge: Priyanka Meher]
Ud ja kaga, re, tora ambar toke pukare
Ud ja kaga, re, tora ambar toke pukare
[Chorus: Priyanka Meher]
Ghumta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Ghumta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha

Panther Priyanka Meher Y Nikhil Swapnil Parinda Romanized » Genius Romanizations Letras !!!

Videos de Genius Romanizations