[Chorus]
Aapki nazron ne samjha pyaar ke kabil mujhe
Dil ki ai dhadkan thehar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha
[Instrumental-break]
[Verse 1]
Ji humein manzoor hai aapka ye faisla
Ji humein manzoor hai aapka ye faisla
Keh rahi hai har nazar, "banda paravar shukriya"
[Chorus]
Hans ke apni zindagi mein kar liya shamil mujhe
Dil ki ai dhadkan thehar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha
[Verse 2]
Aapki manzil hoon main, meri manzil aap hain
Aapki manzil hoon main, meri manzil aap hain
Kyun main toofaan se darun? Mere saahil aap hain
[Chorus]
Koi tufaano se keh de, mil gaya sahil mujhe
Dil ki ai dhadkan thehar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha
[Instrumental-break]
[Verse 3]
Pad gayi dil par meri aapki parchhaiyan
Pad gayi dil par meri aapki parchhaiyan
Har taraf bajane lagin saikadon shehnaiyaan
[Chorus]
Do jahaan ki aaj khushiyan ho gayi haasil mujhe
Aapki nazron ne samjha pyaar ke kabil mujhe
Dil ki ai dhadkan thehar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha