[Verse 1]
Dhoondhta phir raha iss sheher mein
Fursat ke kuchh chand thikaane
Agar mile tumhe toh batana
(Please check the number and dial again)
Hai kisi us shor-gul se door
Darakht par tanga neend ka ek chaand
Agar dikhe tumhe toh tod laana
[Chorus]
Hai tez, bahut tez, yeh duniya chal rahi
Aur main peechhe chhoota jaa raha
Khudgarz hai waqt, apni hi dhun mein chal raha
Aur main peechhe chhoota jaa raha
[Post-Chorus]
Na, na-na, na-na, na
Na, na-na, na-na, na
Na, na-na, na-na, na
Na, na-na, na-na, na
[Verse 2]
Hun naasamajh, thoda begairat
Aur jo bhi keh lo tum
Jitni marzi ho utna noch lo tum
Agar tumhe yahi hai manzoor
Hun naasamajh, thoda begairat
Aur jo bhi keh lo tum
Jitni marzi ho utna noch lo tum
Agar tumhe yahi hai manzoor
[Bridge]
Bas aaj raat ke liye chhod do
Mujhe mere haal par
Bas aaj raat ke liye
Aaunga kal phir sabko
Hansaane-rulaane ke liye
Chhod do bas aaj ke liye
[Chorus]
Hai tez, bahut tez, yeh duniya chal rahi
Aur main peechhe chhoota jaa raha
Khudgarz hai waqt, apni hi dhun mein chal raha
Aur main peechhe chhoota jaa raha
[Post-Chorus]
Na, na-na, na-na, na
Na, na-na, na-na, na
Na, na-na, na-na, na
Na, na-na, na-na, na