[Verse 1]
Neeche band kamron mein gutan toh hoti hai
Chchat pe aata huin toh main, aasmaa ho jaata huin main
Kaun kisko batata hai yahan aasma hone ki baat?
Khud hi ko toh chchuna hai aur khud hi ke saatho-saath
Kaun kisko batata hai?
[Verse 2]
Shehar ki chamak se, dhokha toh hota hai
Zameer pe aata huin toh main, zamee ho jaata huin main
Kaun kisko batata hai yahan zamee hone ki baat?
Khud hi toh chalna hai aur khud hi ke saatho-saath
Kaun kisko batata hai?
[Verse 3]
Dimaag se jeene mei uljhan toh hoti hai
Dil pe aata huin toh main, dariya ho jaata huin main
Kaun kisko batata hai yahan dariya hone ki baat?
Khud hi toh dubona hai aur khud hi ke saatho-saath
Kaun kisko batata hai?