[Verse 1]
Gaur-e-nazar se dekho
Dikhti surat mein seerat
Tere gar rang dil ki
Badle na pal pal fitrat
[Verse 2]
Hans ke wo nadaan poochhe
Baaton hi baaton mein
Poochhe kya hai qeemat
Tere in khwabon ki
Is deewanepan ki
Tere armaanon ki
Mansubo pe tere
Barsa aisa paani
Dhalti hai shakhsiyat
Na mila koi saani
Hai aghaaz yeh ya shikast meri
Dastaan-e-shauq haqeeqat meri
[Verse 3]
Sun ke mere kase
Phir bole ba-khabar wo
Aaye tujh se pehle muskuraaye
Bazaaron mein
Khushi to dhoonde jis ko
Hai neelaam ishtehaaro mein
Phir kyun yakeen ho
Mujh ko haal-e-chaman par
Karobaari le doobi
Jab yaaron ki yaari
Hai aghaaz yeh ya shikast meri
Dastaan-e-shauq haqeeqat mеri
[Verse 4]
Dastaan-e-shauq
Dastaan-e-shauq
Dastaan-e-shauq
Dastaan-е-shauq
Hans ke tujh se poochhoon
Baaton hi baaton mein
Poochhoon kya hai qeemat
Tere khwabon ki
Tere in khwabon ki
Kya hai qeemat?
Tere khwabon ki