[Intro]
Tera bhai Panther
Nikhil - Swapnil
[Chorus]
Sannata kaise bheed mein bhi rahta haavi?
Haste chehre mein udasi rahti chipke kyun? Pata nahi
Main to jaaga rahta hoon neendo mein, sapne kaafi
Lene dete na hai saansein chain ki kabhi
Jab pooche koi haal to keh dena
Hum haste rahte gam mein aur kuch kehte na
Jab pooche koi haal to keh dena
Dil ki sunne waale ki yahaan par hai sunte na
Jab pooche koi haal to keh dena
Hum haste rahte gam mein aur kuch kehte na
Jab pooche koi haal to keh dena
Dil ki sunne waale ki yahaan par hai sunte na
Jab pooche koi—
[Verse]
Keh dena ki bheed jama kari
Keh dena ki log bhi bohot the
Keh dena ki hum na daga kare
Keh dena par dhoke the roz ke
Keh dena ki kaafi the dost
Aur keh dena phir bhi akela the roz
Aur keh dena mar chuka andar se
Kehna kara maarke bhi maine hansne ka dhong
Kehna bhi kya? (Kya?)
Mara main phir meri jebon mein rahna bhi kya?
Jitni gehrai se maana mila zakham usse bhi gehra hi tha
Hai na likha
Yahaan asal hai kisi ka chehra bhi na
Yahaan vaadon ki baarish hoti par unmein hai gehrai na
Main kisse shikayat karu aur pata nahi kiski hidayat sunu
Ya fir hoon main mukaam pe jaise bhi aaj, kya sach uske layak main hoon? (I don't know)
Mere aas paas bheed phir bhi akela, ye sab lagte gayab hai kyun?
Maine marte huye dekha dost nashe mein par jote jalaaye chalun
Milta na sab kuch kaam ke main loon
Main kisi ke hisse ka khata nahi hoon
Main kalam se kuch bhi chhipata nahi hoon
Rishte ke liye sach main bataata nahi hoon
Yahaan aurat hai ek hi sagi vo hai maan
Aur ek hi dost vo hai tera baap
Mar jaayega jeete je main sabke liye
Lekin mar ke bhi zinda rakhta parivaar
Dekhi nahi jaati yahaan
Logon se doosron ki khushi dekhi nahi jaati
To pehla parivaar aur doosra paisa kyun ki
Khaali jebon se ho neki nahi paati
Yahaan ek hi hai saathi aur vo hai tu
Tere khaas itne khaas vo hai kyun
Main hasta to sabke liye hoon
Par aisa koi na jiske aage ro main doon
[Chorus]
Sannata kaise bheed mein bhi rahta haavi?
Haste chehre mein udasi rahti chipke kyun? Pata nahi
Main to jaaga rahta hoon neendo mein, sapne kaafi
Lene dete na hai saansein chain ki kabhi
Jab pooche koi haal to keh dena
Hum haste rahte gam mein aur kuch kehte na
Jab pooche koi haal to keh dena
Dil ki sunne waale ki yahaan par hai sunte na
Jab pooche koi haal to keh dena
Hum haste rahte gam mein aur kuch kehte na
Jab pooche koi haal to keh dena
Dil ki sunne waale ki yahaan par hai sunte na
Jab pooche koi—
[Outro]
Tera bhai Panther
You know what it is