[Pre-Chorus]
Tum mudh to paoge, par laut na paoge
Tum mudh to paoge, par laut na paoge
Meri yaad aayegi us maqam pe kabhi
[Chorus]
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aoge
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aoge
Main milunga hi nahi us makaan pe kabhi
Tum pakad ke gaadi shayad...
[Spoken Word]
Surat station ke bahar thandi bench thi, chai garam thi
Bagal mein ek tau ke haath mein beedi thi jo lagbhag khatam thi
Maine bas do-char chuskiyan li thi ki utne mein tau ne doosri sulaga li thi
Pahli ko fenka zameen par aur jooti se kuchal diya
Mujhe jaane kyun teri yaad aayi, main utha aur chal diya
[Verse 1]
Shamon ka kaam to dhalna hai, dhalengi tab bhi
Hawaon ka kaam to chalna hai, chalengi tab bhi
Zulfon ki to yeh fitrat hai, uddengi tab bhi
Koi aur sanwarega to bhi meri yaad aayegi
[Pre-Chorus]
Tum soch to loge, par bol na paoge
Tum soch to loge, par bol na paoge
Dil ki baat aayegi na jabaan pe kabhi
[Chorus]
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aoge
Main milunga hi nahi us makaan pe kabhi
[Spoken Word]
Jaisalmer mein jhaad ke mitti apne juto-kapdon se
Ek teele par main baitha tha, door jahan ke lafzon se
Door kahin wo dhalta sooraj mujhe chhod ke tanha dhal gaya
Us thandi raat mein, us thandi ret par main lete-lete jal gaya
[Verse 2]
Shabd hain, dard hai, kalakari hai, geet bana lunga
Un geeton ki keemat bhari hai, main kama lunga
Oh, tera naam na lunga, khuddari hai, main chhupa lunga
Koi gun-gunayega to tum samajh hi jaoge
[Pre-Chorus]
Tum paise-auhdon par itra na paoge
Tum paise-auhdon par itra na paoge
Itni taliyan hogi mere naam pe kabhi
[Chorus]
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aoge
Main milunga hi nahi us makaan pe kabhi