Video de: Akhil Redhu Haseen Mashooq Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics Fox.MusicaDe.Win

Bienvenidos a Fox.MusicaDe.Win Disfruta del Video de: Akhil Redhu Haseen Mashooq Romanized 2025 Genius Romanizations » Lyrics y comparte musicas con los amigos, Musica Gratis 2025! Fox.MusicaDe.Win!.

Video de: Akhil Redhu Haseen Mashooq Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics

Genius Romanizations - Akhil Redhu Haseen Mashooq Romanized Lyrics


[Verse 1]
Jo mujhme dikh raha, vo tera aqs
Jo mai gava chuka, vo mera waqt
Ha ma khamosh hu, hua na arz
Tu jaa chuka magar, bacha ye dard
Ye din nikal gaya, magar voh baaki raat hai
Mai aage badh gaya, magar haa teri aas hai
Zamana puchta ke "Aisa kya hua hashar?"
Jo beete ghav pe bikhar gaya jo kaach hai

[Pre-Chorus]
Mashooq tu haseen hai, magar nahi qareeb hai
Meri zindagi me rang nahi, teri shaame sab rangeen hai

[Chorus]
Mashooq tu haseen, kabhi toh dil se baat kar
Kaise guroor? Kabhi to aankhein chaar kar
Halaat par, has na mere jaan kar
Tu apsara jahaan ki mere paas bas zameen hai
Mashooq tu haseen hai, magar nahi qareeb hai
Meri zindagi me rang nahi, teri shaame sab rangeen hai
Mashooq tu haseen hai, mashooq tu
Mashooq tu haseen hai, mashooq tu

[Verse 2]
Ha ban ke tajdaari, maine haar maani
Bana ke shayari me likh chuka mai baate saari
Vo shaqs ja chuka hai bolkar ke thi khata
Magar ye dar to mujhme aaj ghar bana chuka ne bevajah
Mai karta shaq hu chehro pe jab apno pe yaqeen na
Toh kaise hoga gairo pe?
Ye duniya rangamanch, ghungru mere pairo me
Samajhna chahu tumko par mai uljha hu kirdaaro me
Ha shehro me ye shor kaisa aaj ka?
Khamosh hai ye dil mera, sehma raha mai saal bhar
Yaad kar, aise na anjaan ban
Jo chhodna hi tha toh kyu kaha ke mujhse pyaar kar?
Teri vajah se saare rishte ab hai khaak lage
Ye vaade karne wale log ab nadaan lagte
Kehna asaan hai ke aage badh ja bhool sab
Par aisi chot ko bhulane me bhi saal lagte
[Verse 3]
Mujhse samajhna hai toh samajh ye shabd
Mai tumsa shaukiya nahi, hai mujhme fark
Bura mai sochta nai, koi ho shaqs
Mai khushiya baat apni, bahadu ashq
Jo thaamta tha haath, aaj vo lachaar hai
Bazaaro me laga na, uska kuch bhi dhaam hai
Jaha do din ke rishte reh gaye hai aaj kal
Vaha dil ashiqo ko de raha salaam hai
Ye dil mera azeez hai, na khelne ki cheez hai
Tujhko gaaidyo ka shauk, haan, par banda ye faqeer hai

[Chorus]
Mashooq tu haseen, kabhi toh dil se baat kar
Kaise guroor? Kabhi to aankhein chaar kar
Halaat par, has na mere jaan kar
Tu apsara jahaan ki mere paas bas zameen hai
Mashooq tu haseen hai, magar nahi qareeb hai
Meri zindagi me rang nahi, teri shaame sab rangeen hai
Mashooq tu haseen hai, mashooq tu
Mashooq tu haseen hai, mashooq tu

Akhil Redhu Haseen Mashooq Romanized » Genius Romanizations Letras !!!

Videos de Genius Romanizations