[Verse]
Shaam bhi koi jaise hai nadi
Lehar lehar jaise beh rahi hai
Koi ankahi, koi ansuni
Baat dheemi-dheemi keh rahi hai
Kahin na kahin
Jaagi hui hai koi aarzoo
Kahin na kahin
Khoye hue se hai main aur tu
[Chorus]
Ke boom-boom-boom par-para
Hai khamosh dono
Ke boom-boom-boom par-para
Hai madhosh dono
Joh gumsum-gumsum hai ye fizayein
Joh kehti sunti hai yeh nigahein
Gumsum-gumsum hai ye fizayein
Hai na
[Verse]
Suhani-suhani hai ye kahani
Jo khamoshi sunati hai
Jise tune chaha hoga wo tera
Mujhe woh ye batati hai
Main magan hoon par na jaanu
Kab aane waala hai wo pal
Jab haule-haule dheere dheere
Khilega dil ka ye kamal
[Chorus]
Ke boom-boom-boom par-para
Hai khamosh dono
Ke boom-boom-boom par-para
Hai madhosh dono
Joh gumsum-gumsum hai ye fizayein
Joh kehti sunti hai yeh nigahein
Gumsum-gumsum hai ye fizayein
Hai na
[Verse]
Ye kaisa samay hai, kaisa samaa hai
Ke shaam hai pighal rahi
Yeh sab kuch haseen hai, sab kuch jawan hai
Hai zindagi machal rahi
Jagmagati, jilmilati
Palak palak pe khwaab hai
Sun ye hawayein gungunaye
Joh geet lajawab hai
[Chorus]
Ke boom-boom-boom par-para
Hai khamosh dono
Ke boom-boom-boom par-para
Hai madhosh dono
Joh gumsum-gumsum hai ye fizayein
Joh kehti sunti hai yeh nigahein
Gumsum-gumsum hai ye fizayein
Hai na