Toh meri kitaab "Sukoon" se ek ghazal hain
Yeh kisne kaha ke woh tujhe
Dil se chah raha hain
Toh hum yaha kya farma rahe hain
Gaur kare
Yeh kisne kaha ke woh tujhe
Dil se chah raha hain
Kisi ko bhoolne ke liye
Woh Tere pass aa raha hain
Agar bhichadna pade
Kal kisi sabab tujhe mujhse
Tera phir bhichadne mein
Kaha kuch jaa raha hain
Har jooth-sach tamaam
Ahal-e-shehar se kya garaz
Tujhe kya aur koi bhi
Ab Mere siwa bhaa raha hain
Mere yakeen ko karke agar
Ho bhi gaye aabaad
Konsi woh apni wafaao
Ki raag kahi gaa raha hain
Hain shukr ke mujhme
Kaamil ho gaya hu mein
Koi hain jo mujhe,mujh me
Waapas laa raha hain
Kyu khaamosh ho ab
Kya gham hain jo tumhe
Andar sе khaa raha hain
Yeh kisne kaha ke woh tujhе
Dil se chah raha hain
Yeh kisne kaha ke woh tujhe
Dil se chah raha hain
Toh yeh ghazal hain meri kitaab sukoon se
Ke samajne waale samjhe isey