Video de: Punit Singh Parinda Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics Fox.MusicaDe.Win

Bienvenidos a Fox.MusicaDe.Win Disfruta del Video de: Punit Singh Parinda Romanized 2025 Genius Romanizations » Lyrics y comparte musicas con los amigos, Musica Gratis 2025! Fox.MusicaDe.Win!.

Video de: Punit Singh Parinda Romanized Lyrics Genius Romanizations » Lyrics

Genius Romanizations - Punit Singh Parinda Romanized Lyrics


[Chorus]
Main to parinda, tu aasmaan hai mera, main to udta phirun tujhmein akela
Oh-ho, ho-ho
Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela

[Verse 1]
Un kaliyon mein, un baagon mein, un kiranon aur taaron mein
Un shaakhaon se jude parindon ke un aawaazon mein tu
Gum hai un deewaron mein, bahti un fizaon mein tu
Aaj galiyon mein, ek din, aana meri baahon mein
Tu zindagi, main hissa tera, tujhmein hi zameen ye aasmaan
Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela

[Verse 2]
Ye rukne se bhi na rukta, ye thakne se bhi na thakta
Ye matwaala ziddi hai, karna haasil bas iska junoon
Dar-dar bhatka shehron mein, saansen thami un pehron mein
Tu laut aa, dikh ja, milne de dil ko sukoon
Ghayal hoon, tu par ban ja, tujhmein hi zameen ye aasmaan
Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela

[Interlude]
Oh-ho, ho-ho
Aah-ha, ha-ha, ha
Aah-ha, ha-ha, ha
Aah-ha, aah-ha, aah-ha
Na-na, na-na, na-na, na-na
Oh-ho, ho-ho
Oh-ho, ho-ho
Oh-ho, oh-ho, oh-ho
Tujhmein akela
[Bridge]
Main to dekhun sapne teri aaghoshi ke
Taakun, nihaaru, jo dhoondhe ehsaas tu mere
Main to nahi duniya mein, ye aahat tera bhram hai
Ya main jahan bhi hoon, teri aankhein kyun nam hain?

[Chorus]
Na tu parinda, na main aasmaan teri, na yun udta phir mujhmein akela
Oh-ho
Na tu parinda, na main aasmaan hoon teri, main to berang hoon, tu rang sunhera

[Verse 3]
Jab tak saans hai, ye aawaaz hai, tab tak tujh tak badhta rahoonga
Teri aawaragi mein na sirf maikashi se gham bharta rahoonga main to
Jab tak saans hai, ye alfaaz hai, tab tak tujhko likhta rahoonga
Teri madhoshi mein jalta, har muqam haasil karta rahoonga main to
Main to, mm-hmm, kuch bhi nahi

[Verse 4]
Jab pahunche zarre kasht mere, chhu lena, hon gham nasht mere
Tab parwanon ke kisse kehna, bin toke sun loonga main
Wo khaamosh pal hai jahan, mere sau jeevan hai wahan
Ab ki, aankhon se na hatna, ab na jaane doonga
Main to beghar hoon, tu ghar ban ja, tujhmein hi zameen ye aasmaan
Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela
[Outro]
Aah-ha, aah, aah
Na-na, na-na, na-na

Punit Singh Parinda Romanized » Genius Romanizations Letras !!!

Videos de Genius Romanizations