[Verse 1]
Raaton mei kyu sote nahi ho tum?
Puchoge toh bataayeinge tumko hum
Bhikhri si jo kahani ko lekr tum
Chal pade ho jaane kahan ko yun
[Chorus]
Waqt kat ta nahi, na jane kyu
Shaamein dalti nahi
Ho ki ho tum nahi, na jano tum
Baat hai itni si
[Verse 2]
Baatein jo goonjti hain Dil mein
Unhe sun lo zara
Pannon mei jo chchupi hai khwaahishein
Unhein pad lo zara
[Verse 3]
Dafn dil ke un lafzo ko kyon bhala
Khodte ho yun din ke unjhalon mein?
Thi mukammal jo raahein, abh kyu bhala
Khatm hui hain aadhe mei hi kahin?
[Chorus]
Waqt kat ta nahi, na jane kyu
Shaamein dalti nahi
Ho ki ho tum nahi, na jano tum
Baat hai itni si
Waqt kat ta nahi, na jane kyu
Shaamein dalti nahi
Ho ki ho tum nahi, na jano tum
Baat hai itni si