[Verse 1]
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale

Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

[Verse 2]
Qafas udaas hai, yaaro, saba se kuchh to kaho

Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale
[Refrain]
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
[Verse 3]
Jo ham pe guzri so guzri—
Jo ham pe guzri so guzri—
Jo ham pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamare ashk teri aaqbat sanwaar chale
[Refrain]
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
[Verse 4]
Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz

Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale
[Refrain]
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
[Verse 5]
Hua jo teer-e-nazar neem kash toh kya haasil

Maza toh jab hai ke seene ke aar paar chale
Maza toh jab hai ke seene ke aar paar chale
[Refrain]
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
[Verse 6]
Maqaam, Faiz, koi—, maqaam, Faiz, koi
Maqaam, Faiz, koi—, maqaam, Faiz, koi
Maqaam, Faiz, koi raah mein jacha hi nahin
Jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale