[Chorus: WONNIT]
Chal ghar chale
Chal ghar chale
Ho gayi derr tujhko aur bhare gala
Huyi derr ab baat talein
Chal ghar chale
Chal ghar chale
Aa chuki hai nayi kirne aur savera naya
Chal dilaason ke tale
[Verse 1: WONNIT]
Hote kuch vaadein jinse dhakka lgta hai
Pura ho jaana jinka pakka lagta hai
Sukoon mai hote sab kuch apna lagta hai
Wahi apnapann phir ek sapna lagta hai
Aisa hota hai zindagi hai chord jaane dete ab
Bhool naa paaye dillagi mai khudko taane dede ab
Ulti seedhi harkaton pe tu nishaana kaske hass
Muskurataa jaa safar mai tu bahaane leke dass
Kya maalum hai sabse zyda dukh kisko hota hai?
Rakh seene pe haath aur puch usse kya tu eklota hai?
Kyuki thakk chuke hai dono, chal ab hote hai sukhi
Chord dia samjhaana duniya ko par kehna tujse chahta hu ki
[Chorus: WONNIT]
Chal ghar chale
Chal ghar chale
Ho gayi derr tujh ko aur bhare gala
Huyi derr ab baat talein
Chal ghar chale
Chal ghar chale
Aa chuki hai nayi kirne aur savera naya
Chal dilaason ke tale
[Verse 2: TRIVED]
Khud hi ki talaash mai main bann gaya aawara
Mili mujhe saza tune khwaabon ko jab maara
Thi umeed naa yeh mulaqaat hogi ab dubaara
Toh chal ghar chale hu main bohot thakka haara
Khayalon mai kyu doobi? Kuch keh tu bhi
Tord bhi de chupi ab kyu seh tu rahi?
Tu nahi behroopi naa kar baatein betuki
Nibha sakti hai bakhoobi yeh toh tu bhi jaan chuki
Derri ki nahi aane mai ab jaldi tujhe jaane ki
Baaton ko chupaane ke liye chunti naye bahane bhi
Kar sakti sudhaar kab takk galti ko tu maanegi
Ab rokku tujhe kaise tu bhi sunti hai zamaane ki
Kitni khudgarz tu jhel rahi khud dard
Bacha kuch haqq? yaa paar huyi kuch hadd?
Kaisi kashmakash tu nahi hoti tass se mass
Ab toh aagya mukaam chalna ghar nahi bss mai bss
[Chorus: WONNIT]
Chal ghar chale
Chal ghar chale
Ho gayi derr tujh ko aur bhare gala
Huyi derr ab baat tale
Chal ghar chale
Chal ghar chale
Aa chuki hai nayi kirne aur savera naya
Chal dilaason ke tale