[Intro]
Khwaishon ka chehra kyun dhundla sa lagta hai?
Kyun anginat khwahishein hai?
Khwahishon ka pehra kyun thehra sa lagta hai?
Kyun yeh ghalat khwahishein hai?
[Verse 1]
Har mod par phir se mud jaati hai
Khilte hue pal mein murjhati hai
Hai besharam, phir bhi sharmati hai khwahishein
[Chorus]
Zindagi ko dheere-dheere dasti hai khwahishein
Aansun ko peete-peete hasti hai khwahishein
Uljhi hui kashmakash mein umar kat jaati hai
[Verse 2]
Aankhen meech jaaye joh ujaalo mein
Kis kaam ki aisi roshni?
O bhatka ke na laaye joh kinaaro pe
Kis kaam ki aisi kashti?
Aandhi har dheere se laati hai
Vaada kar dhokha de jaati hai
Mooh pher ke haske chidaati hai khwahishein
[Chorus]
Zindagi ko dheere-dheere dasti hai khwahishein
Aansun ko peete-peete hasti hai khwahishein
Zindagi ko dheere-dheere dasti hai khwahishein
Uljhi hui kashmakash mein umar kat jaati hai