[Verse 1]
Anjaani raahon mein tanha musaafir
Na chah koi, na hai koi manzil
Anjaani raahon mein tanha musaafir
Na chah koi, na hai koi manzil
[Verse 2]
Jab peechey dekha tou sirf saaye hein
Jo mujhay dhoondtey huye aaye hein
Wo nahi jaantey mein yahan zinda nahi
Mein tou wahien hoon jahan hum tum thay
Ek doosrey ki aankhon mein gum thay
Bas hum tum thay, bas hum tum thay
[Verse 3]
Mein jaanta hoon aesa mumkin tou nahi phir bhi
Kaash aesa ho mil jayein saansein bhi aur dil bhi
Hum tum mil key duniya basayein
Dil key musaafir manzil paayein
Hum tum sajayein dil ka nagar jahan
Apni zameen ho apna ho aasman
Par jaanta hoon mein aesa hona mumkin nahi