[Verse 1]
Mein har jagah pe tere peeche, tera saaya hun
Chehre ko dekh tere apne gham bhulane aaya hun
Sab kehte tujhe choo ke hawa kar deti diwaana
Teri jism ki mehekti khushbu ko churane aaya hun
Tu sun rahi hai kya meri ankahi hui baatein?
Kaash hote aise shabd jisse ham tujhe bata dein
Taarein bhi hain sar jhukate teri chaandni ke aage
Phoolon me aa jaati taazgi jab bhi tu muskura de
Tujhe khabar nai kitni haseen hai tu
Noor-e-nazar nazar na lage aafreen hai tu
Jo mujhe sunte meri likhne ki taareef karein
Par likhna bhool jaata jab mere qareeb hai tu
Sambhalu kaise khud ko bhala mujhe tu bata de
Jisme ho tujhse zyada nasha jaam wo pila de
Teri gully me chalte aashiq apna sar jhuka ke
Aur jis gully me na ho zikar tera wo bata de
[Chorus]
Mujhe teri aankhon ne maara hua hai
Dil mera haara hua hai
Chup jaate jaa ke kahin chal
Dushman zamana hua hai
Aankhon ne maara hua hai
Dil mera haara hua hai
Chup jaate jaa ke kahin chal
Dushman zamana hua hai (Hai)
[Verse 2]
Tu moujza hai, khuda ka noor hai tu
Ye mera dil hai tera ghar waha mehfooz hai tu
Agar mein jhoot kahu dekhu na kisi ko tere siwa
Par har jagah tera chehra toh kya karu majboor mein
Tu door reh ke paas par tu door kar ye faasle
Choor ho ke yaadon me tere ham tanha jaagte
Jism se tere lipta rahu bas hamesha kash mein
Lakeerein tujh tak na jaati wo mita raha hun haath se
Tu justajoo hai, dil ki murad hai tu khwahish hai
Kab tak le ke badhta mohabbat ki azmaishein?
Ye kehte "Mohabbat na dhoondh, ye karte nahi fayde"
Ham lut chuke ab tere aage kuch bhi na dikhaye de
Ay zaalim, kabhi to mujhe pyaar ke nigaah se dekh
Qasam khuda ki tujhe pe zindagi luta denge
Ghamon ki shaam hogi to tujhe hasa denge
Ham gham tere chura lenge
[Chorus]
Mujhe teri aankhon ne maara hua hai
Dil mera haara hua hai
Chup jaate jaa ke kahin chal
Dushman zamana hua hai
Aankhon ne maara hua hai
Dil mera haara hua hai
Chup jaate jaa ke kahin chal
Dushman zamana hua hai (Hai)