[Intro]
Likhe jo khat tujhe
Hazaaro rang ke
Nazaare ban gaye
[Chorus]
Likhe jo khat tujhe
Wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke
Nazaare ban gaye
Saveraa jab hua
Toh phool ban gaye
Jo raat aayi toh
Sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe
[Verse 1]
Koi naghma kahi gunjaa
Kaha dil ne ye tu aai
Kahi chatki kali koi
Main ye samajha tu sharamayi
Koi khushboo kahi bikhari
Laga ye zulf laharaayi
[Chorus]
Likhe jo khat tujhe
Wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke
Nazaare ban gaye
Saveraa jab hua
Toh phool ban gaye
Jo raat aayi toh
Sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe
[Verse 2]
Fizaa rangi, adaa rangi
Ye ithalana, ye sharmana
Ye angdaai, ye tanhai
Ye tarsa kar chale jaanaa
Banaa de na kahi mujhko
Jawaan jadoo ye diwana
[Chorus]
Likhe jo khat tujhe
Wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke
Nazaare ban gaye
Saveraa jab hua
Toh phool ban gaye
Jo raat aayi toh
Sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe
[Verse 3]
Jahaan tu hai, wahaan main hoon
Mere dil ki tu dhadkan hai
Musaafir main tu manzil hai
Main pyaasa hoon tu saawan hai
Meri duniya ye nazrein hai
Meri jannat ye daaman hai
[Chorus]
Likhe jo khat tujhe
Wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke
Nazaare ban gaye
Saveraa jab hua
Toh phool ban gaye
Jo raat aayi toh
Sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe