Yakeen aata nahi dil ko aisa ho bhi sakta hai
Mera haal-e-gham sunkar voh zaalim ro bhi sakta hai
Kabhi insaan akela ho ke bhi tanha nahi hota
Sar-e-mehfil kabhi baithe baithe kho bhi sakta hai
Taa'jub kyu hai tumko meri gunaahi par
Karam ka ek qatra daag-e-daaman dho bhi sakta hai
Kabhi insaan ko neend aati nahi phoolo ke bistar par
Kabhi patthar pe sar rakh kar maje se so bhi sakta hai
Voh kehta hai tumhari khaatir sitaare tod launga
Voh kehta hai tumhari khaatir sitaare tod launga
Baa zaahir yunh nahi hota magar ho bhi sakta hai