[Chorus]
Hamari saanson mein aaj tak woh
Hina ki khushbu mehak rahi hai
Hamari saanson mein aaj tak woh
Hina ki khushbu mehak rahi hai
Labon pe naghme machal rahe hain
Nazar se masti chhalak rahi hai
[Post-Chorus]
Hamari saanson mein aaj tak woh
Hina ki khushbu mehak rahi hai
[Verse 1]
Woh mere nazdeek aate aate
Haya se ek din simat gaye the
Woh mere nazdeek aate aate
Haya se ek din simat gaye the
Mere khayalon mein aaj tak woh
Badan ki daali lachak rahi hai
Mere khayalon mein aaj tak woh
Badan ki daali lachak rahi hai
[Post-Chorus]
Hamari saanson mein aaj tak woh
Hina ki khushbu mehak rahi hai
[Verse 2]
Sadaa jo dil se nikal rahi hai
Woh sher-o-naghmon mein dhal rahi hai
Sadaa jo dil se nikal rahi hai
Woh sher-o-naghmon mein dhal rahi hai
Ke dil ke aangan mein jaise koi
Ghazal ki jhanjhar chanak rahi hai
Ke dil ke aangan mein jaise koi
Ghazal ki jhanjhar chanak rahi hai
[Post-Chorus]
Hamari saanson mein aaj tak woh
Hina ki khushbu mehak rahi hai
[Verse 3]
Tarhap mere bekarar dil ki
Kabhi to unpay asar karey gi
Tarhap mere bekarar dil ki
Kabhi to unpay asar karey gi
Kabhi to woh bhi jalengay isme
Jo aag dil main dahek rahi hai
Kabhi to woh bhi jalengay isme
Jo aag dil main dahek rahi hai
[Chorus]
Hamari saanson mein aaj tak woh
Hina ki khushbu mehak rahi hai
Labon pe naghme machal rahe hain
Nazar se masti chhalak rahi hai
Hamari saanson mein aaj tak woh
Hina ki khushbu mehak rahi hai