[Chorus]
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukara
Ye wo bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

Mitti ki hai jo khushboo, tu kaise bhulayega?
Tu chahe kahi jaye, tu laut ke aayega
Nayi-nayi raho mein, dabi-dabi aaho mein
Khoye-khoye dil se tere koi ye kahega
[Chorus]
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukara
Ye wo bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
Tujhse zindagi hai ye keh rahi, sab to pa liya, ab hai kya kami?
Yun to sare sukh hai barse, par door tu hai apne ghar se
Aa, laut chal tu ab deewane, jahan koi to tujhe apna mane
Aawaz de tujhe bulane wahi des
[Chorus]
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukara
Ye wo bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
Ye pal hai wohi, jismein hain chhupi pooriek sadi, sari zindagi
Tu na pooch raaste mein kahe aaye hain is tarah dorahe
Tu hi to hai raah jo sujhaye, tu hi to hai ab jo yeh bataye
Jaye to kis disha mein jaye wahi des