[Chorus]
Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si tanhai hai
In kitaabon mein jee nahi lagta
Hum ko sajni ki yaad aai hai
Bheega bheega sa december hai
[Verse 1]
Shaam ki kaali aankhein
Jab palkon ko chhapkaati hain
Kisi pairr ke neeche
Kuch yaadein gungunaati hain
Kuch pyar ke aadhe naghme
Aadhi pyar ki kahaani
Aik shehar ka raja
Aur ek gaon ki rani
Dono barre premi the
Ban mein aaya karte the
Unke pyar ke meethe naghme
Panchhi gaaya karte the
[Chorus]
Ab na premi hai
Na woh baatein hain
Aur yaadein hi apni kamai hain
In kitaabon mein jee nahi lagta
Ham ko sajni ki yaad aai hai
[Verse 2]
Is kamre ki khirrki baarish ka shor sunati hai
Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagati hai
Ab ke saal december mein jab ban mein mein jaoon ga
Neeli jheel darakhton ke saaye aur sookhe patte
Saare tera poochein gain
Kahan hai tera poochein gain
Tera premi yaar kahan hai
Saare tera poochein gain
[Chorus]
Kya bataon ga?
Kya kahani hai?
Ab to qismat mein apni judai hai
In kitaabon mein jee nahi lagta
Ham ko sajni ki yaad aai hai
[Verse 3]
Shaam dhalle jab panchhi
Apne apne ghar jaate hain
Koi mujhe batlaye
Mujhko yeh kyun tarpaate hain
Mein ne bhi ek sapna
Dekha tha apne ghar ka
Kho na jaye mera panchhi
Lekin mujhko dar tha
Mera yeh afsaana hai
Saara yeh afsaana hai
Mera panchhi rasta bhoola
Pagal hai anjaana hai
[Chorus]
Tu gaya hai to
Mein ne jaana hai
Mera dil ab bhi tera deewana hai
In kitaabon mein jee nahi lagta
Ham ko sajni ki yaad aai hai
Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si tanhai hai
In kitaabon mein jee nahi lagta
Ham ko sajni ki yaad aai hai