[Intro]
Kuch to hai jo reh gaya, tu keh chala, main seh gaya
Kuch jo teri baaton mein, main khud mein hi khud se deh gaya
Na dhaag ye toote, na rang hi chhoote, ik baar jo tujhmein beh chala
Na dard hi loote, na ashk hi chhoote, ik baar jo tujhmein beh chala
[Chorus]
Ab jaate-jaate, dheeme se mujhko pukaare
Jaate-jaate, bin mude aansu bahaaye
Jaate-jaate, dheeme se mujhko pukaare
Jaate-jaate, bin mude aansu bahaaye
[Verse 1]
Ojhal bhi to nahi hota meri nigahon se tu
Ik din majboor hoga meri aadaton se
Rut aayegi, rut jaayegi, mujhe wahi khada paayеga
Na is janam to us janam, kahin to takraayega tu
[Bridge]
Aah-ha, aah
Aah-ha, aah-ha
Aah-ha, na-na-na
[Verse 2]
Tujhmein jeena hi to aadat hai, tujhpe marnе mein jo rahat hai
Tera milna bhi zaroori hai to kyun aisi ye doori hai?
Ab aaja, o, chiraiyya, aakar ik pukaar de
Ab aaja, o, khevaiyya, jeene ki ik aas de
[Verse 3]
Naya ik daur, jahan hum honge, mere dukh jahan kam hon
Mehsoos kar raha saath wahan main, jaise tere bagal khada
Tu muskaati, jo shaam kate, na raat dhale, na waqt chale
Jab dekhun kitna bebas hoon, ye ang-ang kaanp jale
[Bridge]
Aah-ha
Na-na-na, na-na
[Verse 4]
Kabhi jugnu hai, kabhi aandhi hai, sunsaan sadak, kohra bhi hai
Jahan par main na pahunch sakoon, tu dikhta kyun wahan hi hai?
Jahan bhi hai, jaisa bhi hai, kyun mujhmein tu chhoota hi hai?
Yaad nahi aati mujhko, ye bhi sach jhootha hi hai
[Bridge]
Aah
Na-na-na, na-na
[Outro]
Main to parinda, tu aasmaan hai mera, main to udta phirun tujhmein akela
Oh-ho, ho-ho
Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela