[Verse 1]
Na hi hosh na fikar ne kuch kaha
Na kitaabon ne batai jo thi baat
Phir firaq ki nazar hua wasl
Phir sharaab main utar gai ye raat, raat
[Verse 2]
Ghaltiyon main pal ke bhi
Khwahishon ki bujh sake na aar
Thak gaya hoon jal ke bhi
Roshni main dhal sake na raat
Gir ke bhi, sanbhal ke bhi
Khud se kyun na ho sake milaap?
[Verse 3]
Dekha-dekha sa hai aks samne
Shakhs ye meri kabhi raha tha sath
Phir gumaan mera hai aaina shakan
Phir qarar bhi na thaamy mera hath
[Instrumental-Break]