[Intro]
Sahiba, aaye ghar kaahe na? Aise to sataaye na
Dekhu tujho, chain aata hai
[Chorus]
Sahiba, neende-veende aaye na, raate kaati jaaye na
Tera hi khayal din-rain aata hai
[Verse 1]
Sahiba, samundar, meri aankho me rah gaye
Ham aate-aate jaana, teri yaado me reh gaye
Ye palke gawahi hai, ham raato me reh gaye
Jo vaade kiye saare, bas baato me reh gaye
Baato-baato me hi, khwabo-khwabo me hi mere qareeb hai tu
Teri talab mujhko, teri talab, jaana, ho to kabhi ru-ba-ru
Shor-sharaba jo seene me hai tere, kaise bayaan mai karu?
Haal jo mеra hai, mai kis ko batau?
Mere sahiba, dil na kiraaye ka, thoda to sambhalo na
Nazuk hai yеh, toot jaata hai
[Chorus]
Sahiba, neende-veende aaye na, raate kaati jaaye na
Tera hi khayal din-rain aata hai
[Verse 2]
Kaise bhala, shab hogi vo, sang jo tere dhalti hai?
Dil ko koi, khwahish nahi, teri kami khalati hai
Araam na ab aankho ko, khwab bhi na, badalti hai
Dil ko koi, khwahish nahi, teri kami jaana, Khalti hai
[Refrain]
Sahiba, tu hi mera aaina, haatho me bhi mere, haan
Tera hi naseeb aata hai
[Chorus]
Sahiba, neende-veende aaye na, raate kaati jaaye na
Tera hi khayal din-rain aata hai
Sahiba, neende-veende aaye na, raate kaati jaaye na
Tera hi khayal din-rain aata, hai