[Intro: Arijit Anand]
Meri sau bimaariyon ka tu ilaaj hai
Tu hi mera beeta waqt, tu hi aaj hai
Din, mahine, saal, kam padenge sang tere
Zindagi jo maangu poori, kya khayaal hai?
[Verse 1: Arijit Anand & Ankita Barwad]
Maana dil dara hua hai tere saamne
Dil ko mere kya hua hai tere aane se?
Saari zindagi meri hai tere naam hi
Sirf saal maangna toh be tuka sawaal hai
Main tha wahi khada, aayi tu banke hawa
Mehek gaya hai mera jahaan (Mehek gaya hai mera jahaan)
Nazar theher gayi, isi pahar kahin
Aayi jo saamne tu yahaan
Man mera na maane, tu jo saath aaye
Chhoona chahta hai aasmaan
[Bridge: Ankita Barwad]
Ha-ha-ha, ha-ha-ha, ha ha ha ha ha
Ha-ha-ha, ta-ra-ta, ha ha ha ha ha
[Verse 2: Arijit Anand & Ankita Barwad]
Main hoon patang, tu hawaon ki ravaani
Kisi kitaab mein kahaaniyan purani
Tere sang hai khaamoshiyan bhi suhaani
Tumhein hi saare din ki baatein hai sunaani
Kyun na main sun sakun, teri zubaan se doosron ki dastaan?
[Outro: Arijit Anand & Ankita Barwad]
Merе baare mein tu
Hai jab bhi sochta ye mеre sau jahaan hain jagmagaate