[Intro: fades-in]
-itna na sata
Tune, jannat dubai meri
Bhatki nigahein meri
Tere deedar ko piya
[Verse 1]
Badle zamaane tere
Aankho ke kaale ghere
Mujhko tu itna na sata
Tune, jannat dubai meri
Bhatki nigahein meri
Tere deedar ko piya (Haaye re)
Badle zamaane tere
Aankho ke kaale ghere
Khwabo se lauta kar piya
Tumne chhoda panghat pe aana (-pe aana), ghunghat uthana
Na is tarah tu mera kaleja jala, oo jaaneman
Duniya ab waisi nahi hai
Jaisi banayi thi, haan
Mujhko begaana hi rakho
Zehrili baatein teri, us dil kahani teri
Nahi ho paa raha toh matt karo (Haaye ve)
Tum ko kya malum din gin kaise jiya main
Jo bhi mere hisse aaya, usko chalta kiya main
I know, majburiyan hai kab tak reh jayengi
Jo main ban'na paaya tsunami, toh jaana main leher kahe ki
Maine badal diya lifestyle mera, tere liye, tere liye, haan
Rang tu dikhate jaane, aini chetti kya (Haaye ve)
[Chorus]
Badle zamaane tere
Aankho ke kaale ghere
Mushkil se neende aa rahi
Tumne chhoda panghat pe aana (-pe aana)
Chhoda meri chhat pe aana
Dhadkan sambhal na paa rahi
[Verse]
Jo kisi ki bhi hojaye, us'se dil nahi lagate
Tere mere beech khade log, faansle banake
Jaani galtiyan karke zubaan nahi ladate
Mere bhai tujhe abhi apni bhabhi nahi maante
Gaane fate, aag meri, bhot demand hai
Ha, Bella jaisa koi nahi hai, thoos dimaag me
Haanji, mere jaisa ban'na chahte, chaar [?]
Magar baap se fat'ti hai, apna ghar nhi langhte
Mere idols international, koi nahi local
International awards pe hi mera focus
Bella bana gori-chhitti bandiyo ka brown boy
Unhe chahie mote paise wala banda, obvious
Bata de imaan kaha hai, bata tera dhyan kaha hai
Jaani basi hai dimaag me daulat
Bhale aage bhagwaan khada hai
Bella in sazao ka haqdaar nahi hai
Insaan hu tufaan nahi main
Hum galliyo me gir gir seekhe
Bella aadmi jo udne laga hai
Shaitan fir bhagwan bana hai
Wo jo din me dikha dete taare
Meri kala har rog kare khatam
Boys meri nazmo ko nase kaat naso me utaar rahe (Haaye re)
[Outro]
Badle zamaane tere
Aankho ke kaale ghere
Mujhko tu itna na sata
Tune, jannat dubai meri
Bhatki nigahein meri
Tere deedar ko piya (Haaye re)
Badle zamaane tere
Aankho ke kaale ghere
Mushkil se neende aa rahi
Badle tum mausam se pehle jaana
Maine tujhe bheed me kyu pehchana?
Daulat teri pehli aashiqui (Haaye ve)