[Skit]
Hamare boht chote chote actions hote hai, boht choti choti hamari, jo hai vo, ham aisi chize karte hai, ham aisi harkate karte hai, jisse kisi ki zindagi par boht bada asar pad raha hota hai, boht, bada fark pad raha hota hai, aur kabhi kabhi ham jaha hote hai ham realise hi nahi karte, ki hamari vajah se duniya ke kisi aur kone me baithe huve bande ki zindagi pe itna bada fark pad raha hai, toh.. ek theory hai, "Butterfly Effect" ke naam se, aur us theory ke mutakib, ek titli, kitni nazuk si hoti hai tili, ek tili bhi jo hai na sahi time pe pankh maare, to uske us pankh maarne ki vajah se uske reaction me, duniya ke kisi kone me toofaan aa sakta hai, aur aaspaas dekhe to, hamare sath bhi yahi ho raha hai, hamare chote chote actions, duniya ke dusre kono me baithe huve jo log hame dekh rahe hai, jo log har chiz ko witness kar rahe hai, unki zindagi me toofaan aa raha hai, vo hai "Buttefly Effect".