Is junoon ko apne, sar pe bhi savaar kar
Is junoon ko apne, sar pe bhi savaar kar
Humse ishq hain tujhe toh hazaar baar kar
Jo pucha peer se mene ilaaj-e-ishq
Sarkaar bole "maut ka intezaar kar"
Ho jaaoge rushwa mujhse bichad kar
Phir shauk se tu bhi jawaani bekaar kar
Faqat hum hi khaamosh nahi huye ab
Faqat hum hi khaamosh nahi huye hain ab
Ae taqdeer tu bhi ab kuch awaaz kar
Daaman nichod kar lahu ka humne kaha
Ae khuda reham kar, ab mujhe maaf kar
Gar tujhe waakai haajat hain meri sanam
Toh akad dafnaa de aur niyat saaf kar
Aur ho jaaye tujhe naseeb yeh Wajid
Aur ho jaaye tujhe naseeb yeh Wajid
Phir jaakar adaa shukraane ki namaaz kar
Is junoon ko apne sar pe bhi sawaar kar
Humse ishq hain tujhe toh hazaar baar kar