[Chorus: SickLot]
Haan
Sawaalo ka mere, tu hi hai jawaab
Ye saare khaali panno ko bharne mein lag gaya
Ishaaron ko tere samajh naa paaya shayad
Par bikhra itna zyada ke simat naa paaya waapis
[Post-Chorus: SickLot]
Haan yahaan par, tu hai, yahaan mai hu
Naa sukoon hai, bas khoon hai
Bas khoon hai, bas khoon hai
[Verse 1: Parv Music]
Meri aankhon ki nami ko padh naa paaya tu
Aisa gaya ki laut ke aakhir phir naa aaya tu
Inn ishq ki dhoopon mein mere dil ka saaya tu
Tu hi hai jawaab par hal mujhe mil naa paaya kyu?
Puchhu mai tujhe aakhri baar
Kya mila tod ke dil mera maamooli sa
Bata kya karu maafi ka, mujhme hi mai raha baaki naa
Mere saathi ka toh pata ni
Aadhi baar tu khafa thi, jaana tha toh bataati
Ab gayi hai toh dhoondhu ki kahaan teri wafaa thi
[Chorus: SickLot]
Haan (Mai dhoondhu ki kahaan teri—)
Sawaalo ka mere, tu hi hai jawaab
Ye saare khaali panno ko bharne mein lag gaya
Ishaaron ko tere samajh naa paaya shayad
Par bikhra itna zyada ke simat naa paaya waapis
[Verse 2: SickLot]
Dete the abhi thoda waqt, is thode waqt mein tune toda sab
Ke ab itna mai rootha, sab lagaaye ilzaam, bataata kyu tu naa dard
Pehle jaisa raha tu naa ab
Akela baitha itna sehta rehta kyu ye dard
Mujhe naa pata mai khud se hu kyu khafa
Ye dil naa mere bhoole sab, shayad mai toota ab
De de jawaab, ab tu sach hi bata, kar le khatam, kara jisko hansi mazaak bhi naa karu mai aajkal jo tere khayal, meri aankhon mein aansoo laa dete hai har baar ab
Mai tujhko rakhta apni anaa se bhi upar
Toh phir kyu de jaati hai mujhko hi tu dard
[Chorus: SickLot]
Haan
Sawaalo ka mere, tu hi hai jawaab
Ye saare khaali panno ko bharne mein lag gaya
Ishaaron ko tere samajh naa paaya shayad
Par bikhra itna zyada ke simat naa paaya waapis
[Verse 3: SarpDansh]
Batooni
Tu kaafi zyada batooni lagti thi pehle, ab tu maun kyun? (Hai tu maun kyun?)
Mai dar pe hu aake tere puchh, talaash ko dekh ke mere tu hai hairaan kyu (Mai napaak hu)
Tere ilaake ko dozakh ka darja diya maine kyu
Aankhon se behta lahoo hai toh dekhna kuchh bhi saku
Kehne ko bacha hi kya, mai aankhon ko tere padhu
Par woh bhi pashaani thehra toh khud ko hi murda karu