[Verse 1]
Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-e-man
Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-e-man, jaan-e-bahaaraan
[Verse 2]
Jannat ki hooren tujh pe fida
Raftaar jaise mauj-e-saba
Rangeen-ada tauba-shikan
Ay jaan-e-man, jaan-e-bahaaraan
[Instrumental-Bridge]
Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Jaan-e-bahaaraan, o jaan-e-man
[Verse 3]
Jaan-e-bahaaran o jaan-e-man
Nazron ne teri kiya hai sitam
Qaus-e-quzah ki ye rangeeniyaan
Jaadu kiya hai ye tu ne sanam
Taubah hai taubah teri ada
Us ki inaayat husn tira
Rangeen-jamaal naazuk-badan
Gul-pairahan sarw-e-chaman
Jaan-e-bahaaraan, o jaan-e-man
[Verse 4]
Sham-e-furozaan aankhen teri
Har ik nazar men jaadu-gari
Zulfen tiri mushk-e-khutan
Ay jaan-e-man, jaan-e-bahaaraan
Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa naeen
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-e-man, ay jaan-e-man
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Har ik nazar men jaadu-gari
Zulfen teri mushk-e-khutan
Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa naeen
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-e-man, ay jaan-e-man