[Intro]
Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
[Chorus]
Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do
[Chorus]
Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do
[Post-Chorus]
Aarambh hai prachand
[instrumental break]
[Verse 1]
Mann kare so praan de, jo mann kare so praan le
Wahi toh ek Sarvashaktiman hai
Mann kare so praan de, jo mann kare so praan le
Wahi toh ek Sarvashaktiman hai
[Verse 2]
Krishna ki pukaar hai, yeh Bhagavata ka saar hai
Ki yuddh hi veer ka pramaan hai
Kauravo ki bheed ho ya Paandavo ka need ho
Jo lad saka hai wohi toh mahaan hai
[Verse 3]
Jeet ki hawas nahi, kisi pe koyi vash nahi
Kya zindagi hai, thokaron pe maar do
Maut ant hai nahi toh maut se bhi kyun darein?
Yeh jaake aasmaan mein dahaad do
[Chorus]
Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do
[Post-Chorus]
Aarambh hai prachand
[instrumental break]
[Verse 3]
Ho daya ka bhaav, ya ki shaurya ka chunaab
Ya ki haar ka woh ghaab, tum yeh soch lo
Ho daya ka bhaav, ya ki shaurya ka chunaab
Ya ki haar ka woh ghaab, tum yeh soch lo
[Verse 4]
Ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka laal
Laal yeh gulaal, tum yeh soch lo
Rang Kesari ho ya, mridang Kesari ho
Ya ki Kesari ho taal, tum yeh soch lo
[Verse 4]
Jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet
Uss kavi ko aaj tum nakaar do
Bheegti nason mein aaj, fulti ragon mein aaj
Jo aag ki lapat ka tum baghaar do