[Verse 1]
Nayi nahi hain, yeh baatein wahi
Phir iss mod par hum milein hain
Naa jaane ab milenge hum kabhi
To ruk jao ek pal yahan pe
[Verse 2]
Yeh narm chadaron ki silvatein
Tujhe abhi bula rahin hain
Na jaao door insein, yeh kahein
"Ye sukoon kahan pe hai hasil?"
[Chorus]
Dil ko mere ye hai pata
Ke milon ka ye faasla hai
"Alag aasmaan bhi hai toh kya?"
Yeh dil na mane
[Verse 3]
Yeh gaadiyon ki aisi daudh sa
Tera bhi dil daudhta hai
Haab, ja rahe ho door tum toh kya?
Main hi to dil ka musafir
[Chorus]
Toh ek baar phir tu hanske zara
Dekh le meri in aankhon mein
Main kaid kar lun har woh pal tera
Teri yeh baatein jo hain
[Bridge]
Toh aur kya hai yeh baatein, bata?
Kyun abh din bhi dhalta nahin yeh na ho toh?
Ooh-hoo, hoo-ooh, ooh-ooh
Ooh-ooh, ooh-ooh, ooh-ooh
[Verse 4]
Tum udhe ja rahe
Yeh aasmaan mein khidkiyon se dekh tu pahadon ko
Yun chchote se lage
Hai kitne bade jo hon saamne
Door jo hai khade
Unhe bhi yeh humari zindagi
Yun titliyon si chchoti-chchoti si lage
Hai kitni badi nahi jaante
[Verse 5]
Khaali ghar tera
Yeh chabhiyon ki goonj aise
Tujhe dara rahi, tu darna nahi
Main hun yahin par
[Chorus]
Abh alag aasmaan hai
Aur hai zameen bhi kuch alag si
Par miloge jab kabhi, toh dekhna tabhi
Main kuch alag nahi