Meri adhoori kahaani
Lo daastaan bann gayi
Ho, tune chhuaa aaj aise
Main kya se kya ban gayi
Sehme huye sapne mere
Haule-haule angdaiyaan le rahe
Thehre huye lamhe mere
Nayi-nayi gehraiyaan le rahe
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane
O, saiyyan
Odhoon teri kaaya
Solah sigaar main saja loon
Sangam ki ye raina
Isme tyonhar main mana loon
Khushboo teri choo ke kastoori ho jaaun
Kitni pheeki thi main,, sindoori ho jaaun
Sur se zara behki huyi
Meri duniya thi badi be-suri
Sur mein tere dhalne lagi
Bani re piya main bani baansuri
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane
O, saiyyan
Mere aasmaan se jo hamesha gumshuda the chaand-taare
Tune garrdishon ki lay badal di laut aaye aaj saare
O, saiyyan