[Chorus: Nazia & Zoheb]
Nasha na karo
Allah say tum daro
Apni jaan say khelo, nahi
[Verse 1: Nazia]
Ghar khud hi tum ne tora
Jhootay doston kay liye
Ma baap ko tum ne chhora
Jeeyegein ab woh kaisay
[Verse 2: Zoheb]
Kab tak yoon dekho gay
Waada yeh karo aaj
Jhootay natay toro gay
Tootay sapnay joro gay
[Chorus: Nazia & Zoheb]
Nasha na karo
Allah say tum daro
Apni jaan say khelo, nahi
[Verse 3: Nazia]
Dekho kaisa yeh safar hai
Kaisa tum pay chhaya hai
Tum bhi thay seeday saadhay
Jurmo'n mein kho gaye
[Verse 4: Zoheb]
Dhokay mein jeevan ko
Jaisa bhi laga rog
Ab aaysa na hoga
Yeh to kal na hoga
[Chorus: Nazia & Zoheb]
Nasha na karo
Allah say tum daro
Apni jaan say khelo, nahi
[Verse 5: Zoheb]
Yeh dharti hai hum say
Aur hum sab ka hai kaam
Roshan rakhay yeh zameen
Paak rahay yeh jaahan
(Tu, tu, tu, tu, tu, tu)
[Verse 6: Nazia]
Yeh to sari apni jang hai
Yeh to apni koshish hai
Chahein ge jeena jaisay
Jeelain gay hum waisay
[Verse 7: Zoheb]
Dunya hai har pal saath
Milkar hum uthayein haath
Woh din bhi dekhein gay
Jang apni jab jeetein gay
[Chorus: Nazia & Zoheb]
Nasha na karo
Allah say tum daro
Apni jaan say khelo, nahi