[Chorus: Humaira Channa]
Mujh se pahli si muhabbat mere mahboob na maang

[Verse 1: Humaira Channa, Nabeel Shaukat, Humaira Channa & Nabeel Shaukat]
Main ne samjha tha ke tu hai to darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai to gham-e-dahr ka jhagra kya hai?
Teri soorat se hai ‘aalam main bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siwa dunya main rakkha kya hai

Tu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat chaaha tha yoon ho jaaye
[Chorus: Humaira Channa]
Mujh se pahli si muhabbat mere mahboob na maang
Mujh se pahli si muhabbat mere mahboob na maang
[Verse 2: Nabeel Shaukat, Humaira Channa, Humaira Channa & Nabeel Shaukat]
An-ginat sadiyon ke taareek baheemaana talism

Resham-o atlas-o kam-khaab mein bunwaye huye
Ja-ba-ja bikte huye koocha-o baazaar mein jism
Khaak mein lithre huye khoon mein nahlaye huye
Laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya keeje
Ab bhi dil-kash hai tera husn magar kya keeje

Aur bhi dukh hain zamaane mein muhabbat ke siwa
Raahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa
[Chorus: Nabeel Shaukat & Humaira Channa, Nabeel Shaukat, Humaira Channa]
Haan, mujh se pahli si muhabbat mere mahboob na maang