[Verse 1]
Saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
Saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
Saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
Saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
Bas ik nigaah-e-murshid-e
Bas ik nigaah-e-murshid-e-maiḳhana chahiye
Maiḳhana chahiye hamein
Maiḳhana chahiye
Maiḳhana chahiye hamein
Maiḳhana chahiye
[Verse 2]
Yeh maikada hai sheikh-e-haram apni raah le
Yeh maikada hai sheikh-e-haram apni raah le
Kam-zarf ko idhar
Kam-zarf ko idhar kabhi ana na chahiye
Kam-zarf ko idhar kabhi ana na chahiye
Samajh mein jis ko aata hai maqam-e-rind-o-paimana
Wohi to sidq-e-dil se sheikh ji aata hai maikhana
Kam-zarf ko idhar kabhi ana na chahiye
Maiḳhana chahiye hamein
Maiḳhana chahiye
(Yahan kam-nazar ka guzar nahin yahan ehl-e-zarf ka kasm hai)
[Verse 3]
Peeni hai peejiye magar itna dheyaan rahe
Peeni hai peejiye magar itna dheyaan rahe
Peenay kе baad hosh mein aana na chahiye
Peenay ke baad hosh mеin aana na chahiye
Mehv-e-tasbeeh hi to sab hain magar idraak kahan
Zindagi khud hi ibadat hai magar hosh nahin
Keh gayi kaan mein aa kar tere daman ki hawa
Sahib-e-hosh wohi hai keh jise hosh nahi, han nahin
Peene ke baad hosh mein aana na chahiye
[Verse 4]
Jis zindagi mein saqi tera zikr hi na ho
Jis zindagi mein (Haan)
Jis zindagi mein saqi tera zikr hi na ho
Behtar hai us hayat se
Behtar hai us hayat se mar jana chahiye
Behtar hai us hayat se mar jana chahiye
Chahiye, mar jana chahiye
Chahiye, mar jana chahiye
Aray marne se pesh-tar tujhe mar jana chahiye
Chahiye, mar jana chahiye
Marta nahi hai koi kisi ke firaaq se
Ye keh ke mar gaya koi aashiq firaaq se
Chahiye, mar jana chahiye
Chahiye, mar jana chahiye
[Verse 5]
Yeh aastan-e-yaar hai sehn-e-haram nahi
Yeh aastan-e-yaar hai sehn-e-haram nahi
Sehn-e-haram nahi
Jab rakh diya hai sar
Jab rakh diya hai sar to uthana na chahiye
Maiḳhana chahiye hamein
Maiḳhana chahiye
Maiḳhana chahiye hamein
Maiḳhana chahiye
[Bridge]
Fakhr-e-jahaan hai saqiya tera waqar bhi
Bande bhi tujh se raazi hain parwardigaar bhi
Qurban tujh pe gardish-e-lail-o-nahaar bhi
Qabzay mein mai-parast bhi taa'at guzaar bhi
Fazl-e-Khuda se dono jagah ehtiram hai
Saqi tu maikade mein, haram mein imam hai
Ay saqi-e-maikhana bhar de mera paimana
Ghanghor ghata hai ya urrta hua maikhana
Barsaat ki hawa-e-moattar ka wasta
Maikhana khol Saqi-e-Kaosar ﷺ ka wasta
Jata hai mujh se mera zamana shabab ka
Ae peer-e-mughaan la mera sheesha sharab ka
[Verse 6]
Har shae se barh ke taahir-o-at’har ho wo sharab
Misl-e-gul-e-bahisht-e-moattar ho wo sharab
Maqbool-e-bargaah-e-Payambar ﷺ ho wo sharab
Maddah jis ka Khaliq-e-Akbar ho wo sharab
Jis ka kahin nishan na ho duniya-e-zisht mein
Ya tere maikaday mein mile ya bahisht mein
[Verse 7]
Saqi hain jis ke Shah-e-Wilayat (A.S) wohi sharab
Jo Ehl-e-Bait (A.S) ki hai mohabbat wohi sharab
Us khaas mai ka jam jo mash'hoor-e-aam hai
Jis ko piye baghair ibaadat haraam hai
Itni si aarzu hai Shehanshah-e-Karbala (A.S)
Lo kar diya bayaan sar-e-aam-o-barmala
[Outro]
Sar-e-aam-o-barmala
Sar-e-aam-o-barmala