Dasht-e-tanhai main, ae jaan-e-jahaan, larzaan hain
Teri awaaz ke saaye, tere honton ke seraab
Dasht-e-tanhai main doori ke khas-o-khaak tale
Khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushbu main sulagti hui maddham, maddham
Door ufaq paar chamakti hui qatra, qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam
Iss qadar pyaar se, ae jaan-e-jahaan, rakha hai
Dil ke rukhsaar pe iss waqt teri yaad ne haath
Yoon gumaan hota hai garche hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din, aa bhi gayi wasl ki raat